kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha
marte marte hosh baqi tere diwane mein tha
hae wo KHud-raftagi uljhe hue sab sar ke baal
wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha
jis taraf jae nazar apna hi jalwa tha ayan
jism mein hum the ki wahshi aaina-KHane mein tha
boriya tha kuchh shabina mai thi ya TuTe subu
aur kya is ke siwa maston ke virane mein tha
hanste hanste ro diya karte the sab be-iKHtiyar
ek nai tarkib ka dard apne afsane mein tha
sun chuke jab haal mera le ke angDai kaha
kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha
dun ki leta to hai zahid magar main kya kahun
muttaqi saqi se baDh kar kaun mai-KHane mein tha
pas tha zanjir tak ka tauq par kya munhasir
wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha
der tak main TakTaki bandhe hue dekha kiya
chehra-e-saqii numayan saf paimane mein tha
hae parwane ka wo jalna wo rona shama ka
main ne roka warna kya aansu nikal aane mein tha
KHud-gharaz duniya ki haalat qabil-e-ibrat thi 'shad'
lutf milne ka na apne mein na begane mein tha
'shad' kuchh puchho na mujh se mere dil ke dagh ko
TimTimata sa charagh ek apne virane mein tha
Ghazal
Kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha
Shad Azimabadi