اردو हिंदी
Kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara | Shaahi Shayari
kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara

Ghazal

Kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara

Figar Unnavi

;

kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara
TuTa hai to TuTa hi sahi jam hamara

jitna ise samjha kiye begana-e-tasir
itna to na tha jazba-e-dil KHam hamara

ye kaun maqam aaya qadam uThte nahin hain
manzil pe Thaharna to na tha kaam hamara

hum jaise taDapte hain taDapte rahe din raat
kuchh kar na saki gardish-e-ayyam hamara

ye gardish-e-paimana hai ya gardish-e-taqdir
saqi kisi saghar pe to ho nam hamara

phulon ki hansi bais-e-taKHrib-e-chaman hai
kanTon pe nahin hai koi ilzam hamara

hum gardish-e-saghar ko nigahon mein liye hain
dekhe koi husn-e-talab-e-jam hamara

aaghaz-e-mohabbat hi ka eajaz-e-karam hai
dil ho gaya begana-e-anjam hamara

andaz taDapne ka judagana hai lekin
hai koi 'figar' aur bhi hamnam hamara