kuchh kaam nahin hai yahan wahshat ke barabar
so tum hamein gham do koi himmat ke barabar
kab lagta hai ji rah-e-sahulat mein hamesha
aur milta hai kab ranj zarurat ke barabar
aasaish-o-aram ho ya jah-o-hasham ho
kya chiz yahan par hai mohabbat ke barabar
gunjaish-e-afsos nikal aati hai har roz
masruf nahin rahta hun fursat ke barabar
bhar lae hain hum aankh mein rakhne ko muqabil
ek KHwab-e-tamanna teri ghaflat ke barabar
rakh denge tere panw mein hum mauj mein aa kar
duniya hai kahan jaan ki qimat ke barabar
phir kashmakash-e-sud-o-ziyan kar-e-ziyan hai
jab jit bhi Thahri hai hazimat ke barabar
jine mein jo ehsas-e-tafaKHur hai kahan hai
jite chale jaane ki nadamat ke barabar
Ghazal
Kuchh kaam nahin hai yahan wahshat ke barabar
Abrar Ahmad