kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho
wo e'tibar dilae aur e'tibar na ho
hawa KHilaf ho maujon pe iKHtiyar na ho
ye kaisi zid hai ki dariya kisi se par na ho
main ganw lauT raha hun bahut dinon ke baad
KHuda kare ki use mera intizar na ho
zara si baat pe ghuT ghuT ke subh kar dena
meri tarah bhi koi mera gham-gusar na ho
dukhi samaj mein aansu bhare zamane mein
use ye kaun batae ki ashk-bar na ho
gunahgaron pe ungli uThae dete ho
'wasim' aaj kahin tum bhi sangsar na ho
Ghazal
Kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho
Waseem Barelvi