kuchh ishq tha kuchh majburi thi so main ne jiwan war diya
main kaisa zinda aadmi tha ek shaKHs ne mujh ko mar diya
ek sabz shaKH gulab ki tha ek duniya apne KHwab ki tha
wo ek bahaar jo aai nahin us ke liye sab kuchh haar diya
ye saja-sajaya ghar sathi meri zat nahin mera haal nahin
ai kash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazar diya
main khuli hui ek sachchai mujhe jaanne wale jaante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyar diya
wo ishq bahut mushkil tha magar aasan na tha yun jina bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya
main rota hun aur aasman se tare TuTte dekhta hun
un logon par jin logon ne mere logon ko aazar diya
mere bachchon ko allah rakhe in taza hawa ke jhonkon ne
main KHushk peD KHizan ka tha mujhe kaisa barg-o-bar diya
Ghazal
Kuchh ishq tha kuchh majburi thi so maine jiwan war diya
Obaidullah Aleem