kuchh ishaare wo sar-e-bazm jo kar jate hain
nawak-e-naz kaleje mein utar jate hain
ahl-e-dil rah-e-adam se bhi guzar jate hain
nam-lewa tere be-KHauf-o-KHatar jate hain
safar-e-zist hua KHatm na socha lekin
hum ko jaana hai kahan aur kidhar jate hain
nigah-e-lutf mein hai uqda-kushai muzmar
kaam bigDe hue bandon ke sanwar jate hain
qabil-e-did hai mahshar mein KHajalat un ki
do qadam chalte hain rukte hain Thahar jate hain
KHub badnam kiya apni siyahkari ne
ungliyan uThti hain mahshar mein jidhar jate hain
aankh khul jati hai chaunk uThte hain sone wale
wo dabe panw jo turbat se guzar jate hain
chaaragar hajat-e-marham nahin un ko aslan
zaKHm-e-dil lazzat-e-isar se bhar jate hain
aah-e-sozan se jo nikle the sitare shab-e-gham
ban ke tare wahi gardun pe bikhar jate hain
aaj tak lauT ke aaya na jahan se koi
ham-safiran-e-jahan hum bhi udhar jate hain
bahr-e-gham mein wahi phanste hain jo hote hain giran
jo subuk hote hain wo par utar jate hain
kushta-e-naz tera kyun na zamin par loTe
dagh-e-dil jitne hain is tarah wo bhar jate hain
Ghazal
Kuchh ishaare wo sar-e-bazm jo kar jate hain
Sher Singh Naaz Dehlvi