kuchh is tarah wo nigahen churae jate hain
ki aur bhi mere nazdik aae jate hain
is iltifat-e-gurezan ko nam kya dije
jawab dete nahin muskurae jate hain
nigah-e-lutf se dekho na ahl-e-dil ki taraf
dilon ke raaz zabanon pe aae jate hain
wo jin se tark-e-talluq ko ek zamana hua
na jaane aaj wo kyun yaad aae jate hain
tumhaari bazm ki kuchh aur baat hai warna
hum aise log kahin bin bulae jate hain
ye dil ke zaKHm bhi kitne ajib hain ai shams'
bahaar ho ki KHizan muskurae jate hain
Ghazal
Kuchh is tarah wo nigahen churae jate hain
Shams Zubairi