kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya
meri taraf hi ruKH-e-intiqam kar ke gaya
jahan mein aaya tha insan mohabbaten karne
jo kaam karna nahin tha wo kaam kar ke gaya
asir hote gae ba-dil-e-na-KHwasta log
ghulam karna tha us ne ghulam kar ke gaya
jo dard soe hue the wo ho gae bedar
ye moajaza bhi mera KHush-KHiram kar ke gaya
hai zindagi bhi wahi jo ho dusron ke liye
wo mohtaram hua jo ehtiram kar ke gaya
ye sarzamin hai jalal o jamal o azmat ki
hai KHush-nasib yahan jo qayam kar ke gaya
hai kaun shair-e-KHush-fikr kaun hai fankar
ghazal bataegi is mein nam kar ke gaya
asar hua na hua bazm par 'ali-yasir'
kalam karna tha main ne kalam kar ke gaya
Ghazal
Kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya
Ali Yasir