اردو हिंदी
Kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai | Shaahi Shayari
kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

Ghazal

Kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

Nadeem Farrukh

;

kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai
wo aaftab pe pahre biThana chahta hai

talluqat ke dhage to kab ke TuT chuke
magar ye dil hai ki phir aana jaana chahta hai

jo qatra qatra ikaTTha hua tha aankhon mein
wo KHun ab meri palkon pe aana chahta hai

chaTaKH raha hai jo rah rah ke mere sine mein
wo mujh mein kaun hai jo TuT jaana chahta hai

amir-e-shahr teri bandishen maaz-allah
faqir ab teri basti se jaana chahta hai

ye KHwahishat ka panchhi ajib hai har rose
nai fazaen naya aab-o-dana chahta hai

udasi jhankne lagti hai us ki aankhon se
wo shaKHs jab bhi kabhi muskurana chahta hai