kuchh is tarah se tasawwur mein aa raha hai koi
charagh ruh mein jaise jala raha hai koi
koi kalim uThe warna intizar ke baad
charagh-e-tur-e-mohabbat bujha raha hai koi
wo dair ka tha ki kabe ka ye nahin malum
meri KHudi ka muhafiz KHuda raha hai koi
jo rokna ho to aa baDh ke rok le warna
tere hudud-e-taghaful se ja raha hai koi
rawan-dawan nahin be-wajh karwan-e-hayat
mujhe zarur kahin se bula raha hai koi
badal rahe hain jujun-o-KHirad ke paimane
kis ehtimam-e-taghayyur se aa raha hai koi
na kuchh malal-e-asiri na KHatra-e-sayyaad
qafas samajh ke nasheman bana raha hai koi
zamin-o-charKH ne inkar kar diya jis se
wo bar dosh-e-wafa par uTha raha hai koi
jahan-e-nau mein ba-rang-e-kashakash-e-paiham
hayat-e-nau ke saliqe sikha raha hai koi
KHabar karo ye haqaeq ke pasbanon ko
majaz kho ke haqiqat mein aa raha hai koi
na jaane kaun si manzil mein ishq hai ki mujhe
mere hudud se bahar bula raha hai koi
Daro KHuda se baDa bol bolne walo
qarib hum se bhi be-intiha raha hai koi
mujhe sitam mein izafe ka gham nahin lekin
yaqin kar ki mere baad aa raha hai koi
nigah-o-lab mein hansi ki sakat nahin lekin
ba-jabr-e-ishq-o-wafa muskura raha hai koi
ye subh-o-sham ki yurish ye mausamon ki rawish
ki jaise mere taaqub mein aa raha hai koi
kisi ko is ki KHabar hi nahin thi kuchh 'ehsan'
ki miT ke apna zamana bana raha hai koi
Ghazal
Kuchh is tarah se tasawwur mein aa raha hai koi
Ehsan Danish