kuchh is tarah se guzari hai zindagi main ne
har ek sans ko samjha hai aaKHiri main ne
samajh gaya wahin raaz-e-visal jab dekha
habab tera maal-e-shikastagi main ne
karishma-e-mai-e-tauhid ai taal-allah
surur hai mere saqi ko aur pi main ne
laga ke un ki mohabbat mein jaan ki bazi
tamam daulat-e-kaunain jit li main ne
kisi ka raaz samajhta gaya jahan tak bhi
samajh mein aaya ki samjha na kuchh abhi main ne
ana zaban se na kahte na dar par khinchte
kiya hai qahr ye mansur aap ki main ne
hai mawara-e-suKHan 'barq' guftugu meri
KHamosh rah ke bhi akasr hai baat ki main ne

Ghazal
Kuchh is tarah se guzari hai zindagi maine
Rahmat Ilahi Barq Aazmi