اردو हिंदी
Kuchh is tarah se basar ki hai zindagi maine | Shaahi Shayari
kuchh is tarah se basar ki hai zindagi maine

Ghazal

Kuchh is tarah se basar ki hai zindagi maine

Munawwar Hashmi

;

kuchh is tarah se basar ki hai zindagi main ne
ghamon ki chhanw mein DhunDi hai sarKHushi main ne

jo meri zat ka sab se baDa muKHalif tha
mata-e-umr usi ko hi baKHsh di hum ne

mujhe nikal diya us ne dil ki basti se
ki baat dil ki sar-e-bazm kyun kahi main ne

husul-e-zar ka jo mauqa kabhi mila mujh ko
ganwa diya hai use kar ke shairi main ne

har ek shaKHs meri dosti ka talib tha
har ek shaKHs se li mol dushmani main ne

ye mera nam 'munawar' zarur hai lekin
kabhi na pai qarib apne raushni main ne