kuchh is ada se safiran-e-nau-bahaar chale
salib dosh pe rakh kar gunahgar chale
nikal ke ku-e-mohabbat se soe dar chale
hamare sath na kyun mausam-e-bahaar chale
tumhaari yaad sahi qurbat-e-badan na sahi
kisi tarah to mohabbat ka karobar chale
hamare dam se gham-e-zindagi ki azmat hai
hamare sath sitam-ha-e-rozgar chale
isi ka nam bahaaran hai kuchh kaho yaro
chaman mein hanste hue aae sogwar chale
hazar hum pe KHarabi guzar gai lekin
lahu se apne teri anjuman sanwar chale
ek ek sans hain sadiyon ka dard shamil hai
tumhaari bazm mein wo zindagi guzar chale

Ghazal
Kuchh is ada se safiran-e-nau-bahaar chale
Ramz Azimabadi