kuchh is ada se hamein gham-gusar milte hain
hazar zaKHm pas-e-e'tibar milte hain
shab-e-firaq ki wahshat na puchhiye hum se
hum apne hijr se diwana-war milte hain
ye shahr-e-zaKHm-faroshan hai hae kya kije
ki pa-e-gul bhi yahan KHar KHar milte hain
wo jin ki kokh mein shauq-e-KHirad panapta hai
wo walwale bhi junun ka shikar milte hain
saja ke rakhte hain jin ko chamak ki KHwahish mein
wo aaine bhi hamein dagh-dar milte hain
hamein unhi se tawaqqo hai 'naz' manzil ki
jo raste hamein ban kar ghubar milte hain
Ghazal
Kuchh is ada se hamein gham-gusar milte hain
Naz Butt