اردو हिंदी
Kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna | Shaahi Shayari
kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

Ghazal

Kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

Adeem Hashmi

;

kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna
kuchh hum ne tera sog manaya nahin itna

kuchh teri judai ki aziyyat bhi kaDi thi
kuchh dil ne bhi gham tera manaya nahin itna

kyun sab ki tarah bhig gai hain teri palken
hum ne to tujhe haal sunaya nahin itna

kuchh roz se dil ne teri rahen nahin dekhin
kya baat hai tu yaad bhi aaya nahin itna

kya jaaniye is be-sar-o-samani-e-dil ne
pahle to kabhi hum ko rulaya nahin itna