kuchh hasinon ki mohabbat bhi buri hoti hai
kuchh ye be-chain tabiat bhi buri hoti hai
jite-ji mere na aae to na aae ab aao
kya shahidon ki ziyarat bhi buri hoti hai
aap ki zid ne mujhe aur pilai hazrat
shaiKH-ji itni nasihat bhi buri hoti hai
us ne dil manga to inkar ka pahlu na mila
KHana-barbaad murawwat bhi buri hoti hai
ai 'hasan' aap kahan aur kahan bazm-e-sharab
pir-o-murshid buri sohbat bhi buri hoti hai
Ghazal
Kuchh hasinon ki mohabbat bhi buri hoti hai
Hasan Barelvi