اردو हिंदी
Kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain | Shaahi Shayari
kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain

Ghazal

Kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain

Saleem Ahmed

;

kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain
ye tamanna aankh ki hai wo taqaze dil ke hain

hum ne ye nairangiyan bhi dahr ki dekhin ki log
dost hain maqtul ke aur ham-nawa qatil ke hain

umr sari rah ke patthar haTate kaT gai
zaKHm mere hath mein ek sai-e-la-hasil ke hain

ek dhanak lahra rahi hai aansuon ke darmiyan
meri aaankhon mein abhi tak rang us mahfil ke hain

is se aage kaun jae dasht-e-na-malum mein
hum na kahte the ki sare ham-safar manzil ke hain

in ko tufanon se kya matlab bhanwar se kya gharaz
dost jitne hain tamashai faqat sahil ke hain

tu jise apna samajhta hai wo mal-e-ghair hai
tere hathon mein jo sikke hain kisi sail ke hain

jaanchti hai ghair ko har lahza chashm-e-aib-ju
naqsh mujh mein jitne hain sare kisi kaamil ke hain