kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai
har sans dastan tere jaur-o-jafa ki hai
hajat-rawa ki aur na zarurat dua ki hai
ab chhoD chaarasaz jo marzi KHuda ki hai
daman-e-zabt chaak to kar de junun magar
tauhin ye mere dil-e-gham-ashna ki hai
KHun-e-hayat KHun-e-tarab KHun-e-arzu
ye sharah-e-muKHtasar meri umr-e-wafa ki hai
ghairat ne meri KHud hi safina Dubo diya
dekha nazar phiri hui kuchh naKHuda ki hai
barbaadiyon se dars-e-baqa le rahi hun main
ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-bala ki hai
irfan-e-gham se nafs ka irfan hua nasib
siDhi ye pahli marifat-e-kibriya ki hai
hum se KHizan-nasib qafas mein bhi shad hain
lai jo bu-e-gul ye inayat saba ki hai
KHuddariyon ne zist ko aasan bana diya
betabiyon ki KHu hai na aah-o-baka ki hai
mana ki tujh ko aish ki jannat nasib hai
tahqir-e-gham na kar ki ye neamat KHuda ki hai
is zindagi ne sath kisi ka nahin diya
kis bewafa se tujh ko tamanna wafa ki hai
kashti ko meri maujon se pahuncha nahin guzar
minnat-gudaz ye karam-e-naKHuda ki hai
'maKHfi' panah-e-chadar-e-zehra na chhoDna
talim-e-nau suna hai ki dushman haya ki hai
Ghazal
Kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni