kuchh gunah nahin is mein e'tiraf hi kar lo
jo chhupae phirte ho sab ke ru-ba-ru kah do
bojh kyun rahe dil par apni kam-kalami ka
buzdili bhi achchhi hai chahe tum ye na mano
shab jo KHwab dekha tha ek dasht-e-KHwahish ka
apna ji kaDa kar ke aaj us se kah Dalo
KHub hai saza ye bhi kasb-e-kaamyabi ki
ek shab ki qimat mein ab to umr-bhar jago
ek bar chhu lena bas gul-e-badan us ka
ek mata-e-KHushbu hai hath umr-bhar chumo
tha to wo bas ek lamha par ye us ka phailao
chahe ishraten us ki sari zindagi likkho
KHwab le ke aaya hun main dukan-e-dushman par
is se besh-qimat ab aur chiz kya becho
Ghazal
Kuchh gunah nahin isMein etiraf hi kar lo
Zulfiqar Ahmad Tabish