kuchh gardish-e-zamana kuchh aarzu kare hai
baqi jo bach rahe hai wo kaam tu kare hai
KHun-e-jigar kare hai dil ko lahu kare hai
ye daur aadmi ko yun surKH-ru kare hai
moti hai ye palak par ruKHsar par hai shabnam
gir kar zamin pe aansu be-abru kare hai
zindan ki dil-shikasta tanhaiyon mein koi
diwar-o-dar se jaane kya guftugu kare hai
har zarra mai-kada hai ye tishnagi salamat
kyun matam-e-shikast-e-jam-o-subu kare hai
kuchh mo'tabar nahin hai aswad ho ya ki marmar
in pattharon ke aage kya aarzu kare hai
kab ka guzar chuka hai diwangi ka aalam
phir bhi 'majaz' apna daman rafu kare hai
Ghazal
Kuchh gardish-e-zamana kuchh aarzu kare hai
Majaz Jaipuri