kuchh gham-e-jaanan kuchh gham-e-dauran donon meri zat ke nam
ek ghazal mansub hai us se ek ghazal haalat ke nam
mauj-e-bala diwar-e-shahr pe ab tak jo kuchh likhti rahi
meri kitab-e-zist ko paDhiye darj hain sab sadmat ke nam
girte KHeme jalti tanaben aag ka dariya KHun ki nahr
aise munazzam mansubon ko dun kaise aafat ke nam
us ki gali se maqtal-e-jaan tak masjid se mai-KHane tak
uljhan pyas KHalish tanhai karb-zada lamhat ke nam
sahra zindan tauq salasil aatish zahr aur dar o rasan
kya kya hum ne de rakhe hain aap ke ehsanat ke nam
raushan chehra bhigi zulfen dun kis ko kis par tarjih
ek qasida dhup ka likkhun ek ghazal barsat ke nam
jin ke liye mar mar ke jiye hum kya paya un se 'manzur'
kuchh ruswai kuchh badnami hum ko mili saughat ke nam
Ghazal
Kuchh gham-e-jaanan kuchh gham-e-dauran donon meri zat ke nam
Malikzada Manzoor Ahmad