kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye
nashtar-ba-dast shahr se chaaragari ki lau
ai zaKHm-e-be-kasi tujhe bhar jaana chahiye
har bar eDiyon pe gira hai mera lahu
maqtal mein ab ye tarz-e-digar jaana chahiye
kya chal sakenge jin ka faqat masala ye hai
jaane se pahle raKHt-e-safar jaana chahiye
sara jawar-bhaTa mere dil mein hai magar
ilzam ye bhi chand ke sar jaana chahiye
jab bhi gae azab-e-dar-o-baam tha wahi
aaKHir ko kitni der se ghar jaana chahiye
tohmat laga ke man pe jo dushman se dad le
aaise suKHan-farosh ko mar jaana chahiye
Ghazal
Kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye
Parveen Shakir