kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein
lekin koi suragh nahin hai giraft mein
kuchh daKHl iKHtiyar ko ho bud-o-hast mein
sar kar lun ye jahan-e-alam ek jast mein
ab wadi-e-badan mein koi bolta nahin
sunta hun aap apni sada baz-gasht mein
ruKH hai mere safar ka alag teri samt aur
ek su-e-murgh-zar chale ek dasht mein
kis shah ka guzar hai ki mafluj jism-o-jaan
ji jaan se juTe hue hain band-o-bast mein
ye puchh aa ke kaun nasibon jiya hai dil
mat dekh ye ki kaun sitara hai baKHt mein
kis soz ki kasak hai nigahon ke aas pas
kis KHwab ki shikast umaD aai hai tasht mein
Ghazal
Kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein
Akram Naqqash