kuchh ehtimam na tha sham-e-gham manane ko
hawa ko bhej diya hai charagh lane ko
hamare KHwab salamat rahen tumhaare sath
ye baat kafi hai duniya ki nind uDane ko
hamara KHun kisi kaam ka nahin bhai
ye pani Thik hai lekin diye jalane ko
hamari rakh yunhi to nahin kuredte log
hamare pas koi baat hai chhupane ko
tere baghair bhi hum ji rahe hain aur KHush hain
ye baat kam to nahin hai tujhe jalane ko
hamare KHun se luThDe hue hain hath us ke
hamare sath mohabbat bhi hai zamane ko
wo jin ke pas koi aks bhi nahin 'ami'
taDap rahe hain mujhe aaina dikhane ko
Ghazal
Kuchh ehtimam na tha sham-e-gham manane ko
Imran Aami