kuchh dinon se jo tabiat meri yaksu kam hai
dil hai bhar-pur magar aankh mein aansu kam hai
tujhe ghere mein liye rakhte hain kuchh aur hi log
yani tere liye ye halqa-e-bazu kam hai
toD jaise hai koi apne hi andar is ka
warna aisa bhi nahin hai tera jadu kam hai
main in aafat-e-samawi pe karun kyun takiya
kya meri sari tabahi ke liye tu kam hai
rang-e-mausam hi mohabbat ka diya jis ne bigaD
shahr bhar ke liye kya ek hi bad-KHu kam hai
peD ki chhanw pe karti hai qanaat kyun KHalq
aur kyun sab ke liye saya-e-gesu kam hai
zindagi hai wahi sad-rang mere chaaron taraf
kuchh dinon se magar is ka koi pahlu kam hai
wo bhi jaane se hawa phirta hai bahar aur kuchh
dil pe apna bhi kai rose se qabu kam hai
shairi chhoD bhi sakta nahin main warna 'zafar'
jaanta hun is andhere mein ye jugnu kam hai
Ghazal
Kuchh dinon se jo tabiat meri yaksu kam hai
Zafar Iqbal