kuchh dinon apne ghar raha hun main
aur phir dar-ba-dar raha hun main
dusron ki KHabar to kya leta
KHud se bhi be-KHabar raha hun main
waqt go ham-safar na tha mera
waqt ka ham-safar raha hun main
zina-e-zat ka safar aur raat
dhire dhire utar raha hun main
yak-ba-yak kis tarah badal jaun
rafta rafta sudhar raha hun main
tu bhi dekhe to ajnabi jaane
ab ke wo swang bhar raha hun main
be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab
gungunata guzar raha hun main
aag hai aur sulag rahi hai hayat
rakh hun aur bikhar raha hun main
Ghazal
Kuchh dinon apne ghar raha hun main
Anwar Shuoor

