اردو हिंदी
Kuchh der to sab kuchh TuTne ka mahaul raha | Shaahi Shayari
kuchh der to sab kuchh TuTne ka mahaul raha

Ghazal

Kuchh der to sab kuchh TuTne ka mahaul raha

Manmohan Talkh

;

kuchh der to sab kuchh TuTne ka mahaul raha
mat puchh ki phir is dil par kaisa haul raha

jab chaha us mein KHud ko chhupa lete hain sab
aawazon ka har zat pe koi KHol raha

yun lagta tha jo baat hai ulTi paDti hai
ab kya hi kahen tab haul sa koi haul raha

ab kaun kahan aaya ki gaya malum nahin
bas qadmon ki aahaT ka ek mahaul raha

kah bhi na saka main us mein shamil tha ki nahin
bas ek chhalawe sa maston ka ghol raha

aawaz-e-faqirana kashkol ummidon ka
ab ye to rahi aawaz wahan kashkol raha

hum 'talKH' faqat us daur ki ab kuchh yaaden hain
jab dard bhi tha kahne ka bhi mahaul raha