kuchh der sadgi ke tasawwur se haT ke dekh
likkha hua waraq hun mujhe phir ulaT ke dekh
mana ki tujh se koi talluq nahin magar
ek bar dushmanon ki tarah hi palaT ke dekh
phir puchhna ki kaise bhaTakti hai zindagi
pahle kisi patang ki manind kaT ke dekh
ta umr phir na hogi ujalon ki aarzu
tu bhi kisi charagh ki lau se lipaT ke dekh
sajde tujhe karegi kisi roz KHud hayat
banhon mein hadsat-e-jahan ki simaT ke dekh
tanhaiyon mein saikDon sathi bhi hain 'nazir'
hai shart apni zat ke hisson mein baT ke dekh
Ghazal
Kuchh der sadgi ke tasawwur se haT ke dekh
Nazeer Baaqri