kuchh der kali raat ke pahlu mein leT ke
laya hun apne hathon mein jugnu sameT ke
do chaar daon khel ke wo sard paD gaya
ab kya karoge tash ke patton ko pheT ke
us sanwle se jism ko dekha hi tha ki bas
ghulne lage zaban pe maze chaakleT ke
jaise koi libas na ho us ke jism par
yun rasta chale hai badan ko sameT ke
main us ke intizar mein baiTha hi rah gaya
kapDon mein rakh gaya wo badan ko lapeT ke
har falsafe ko waqt ne aise miTa diya
jaise koi nuqush miTa de saleT ke
wo hans raha tha dur khaDa aur chand log
le ja rahe the us ko kafan mein lapeT ke
Ghazal
Kuchh der kali raat ke pahlu mein leT ke
Shahid Kabir