اردو हिंदी
Kuchh darja aur garmi-e-bazar ho buland | Shaahi Shayari
kuchh darja aur garmi-e-bazar ho buland

Ghazal

Kuchh darja aur garmi-e-bazar ho buland

Arshad Jamal Hashmi

;

kuchh darja aur garmi-e-bazar ho buland
dil bechiye ki zauq-e-KHaridar ho buland

bab-e-qubul band hai dast-e-talab par ab
rab chahta hai pa-e-talabgar ho buland

jhuk jaega subu bhi koi jam to uThae
dana hai muntazir koi minqar ho buland

dekhi thi jis ne pyas wo pani to bah chuka
imkan nahin ki parcham-e-inkar ho buland

naKHun bheDiyon ke to baDhte hi jate hain
koi kaman uThe koi talwar ho buland

mujh ko ba-qadr-e-tesha nahin sang-e-rahguzar
'arshad' mere liye koi kohsar ho buland