اردو हिंदी
Kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil | Shaahi Shayari
kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil

Ghazal

Kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil

Ibn-e-Safi

;

kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil
kya is se baDh ke aur bhi koi hai imtihan

likhne ko likh rahe hain ghazab ki kahaniyan
likkhi na ja saki magar apni hi dastan

dil se dimagh o halqa-e-irfan se dar tak
hum KHud ko DhunDte hue pahunche kahan kahan

us bewafa pe bas nahin chalta to kya hua
uDti rahengi apne gareban ki dhajjiyan

hum KHud hi karte rahte hain fitnon ki parwarish
aati nahin hai koi bala hum pe na-gahan