kuchh bhi nahin hai aalam-e-zarraat se aage
ek aalam-e-hu aalam-e-aswat se aage
milte hain smawat smawat se aage
har gam hijabaat hijabaat se aage
is dahr mein hum KHud bhi hain minjumala KHurafat
kis tarah nazar jae KHurafat se aage
ai raat ke maro tumhein kis tarah bujhaun
ek subh bhi ek din bhi hai is raat se aage
insan hain magar bich ki manzil mein khaDe hain
haiwan se pichhe hain jamadat se aage
jo kuchh hai yahan wo hai KHarabaat ke andar
kuchh bhi nahin ai rind KHarabaat se aage
kya sochte ho zehn mein wo aa nahin sakta
kya sochte ho hai wo KHayalat se aage
hone ko wo jaisa bhi ho hum hain to wo hoga
KHamoshi hi KHamoshi hai is baat se aage
samjhenge wahi zehn 'jamil' apne suKHan ko
jati hai nazar jin ki tabiat se aage
Ghazal
Kuchh bhi nahin hai aalam-e-zarraat se aage
Jameel Mazhari