kuchh bhi na ab kahenge qafas mein zaban se hum
sayyaad ko rulaenge aah-o-fughan se hum
mayusiyon ke shahr mein lagta nahin hai dil
le jaen apne dil ko kahan is jahan se hum
gulshan jahan jahan hain wahin bijliyan bhi hain
jaen nikal ke dur kahan aasman se hum
imshab mizaj-e-yar mein kuchh barhami si hai
guzre hain bar bar isi imtihan se hum
dete rahe fareb-e-mohabbat ke raste
pahunche hain phir wahin ki chale the jahan se hum
wo le gae hain chand-sitaron ki raushni
kahte rahe fasana-e-gham aasman se hum
KHairaat-e-husn kasa-e-'rizwi' mein Dal de
kuchh le ke hi uThenge tere aastan se hum
Ghazal
Kuchh bhi na ab kahenge qafas mein zaban se hum
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi