kuchh bhi kar pae na hum hijr ki hairani mein
ghar bhi viran kiya dil ki pareshani mein
rang hi rang hain bikhre hue daman mein mere
rach gaya hai meri aankhon ka lahu pani mein
jism apna bhi mahakta hua gulzar laga
phir tere gham ki hawa aai hai jaulani mein
yun nigahon mein utarne lage yaadon ke nujum
dard bhi mahw hua aaina-samani mein
apne KHwabon ke tilismat se bahar to nikal
jism ko chhu ke kabhi dekh tu uryani mein
suKHan-e-garm ke pardon ko girane wala
chhapne paya na kabhi apni pashemani mein
KHalwat-e-dil ke andheron mein wo suraj nikla
mund gai aankh meri ruh ki tabani mein
aafiyat DhunDne nikle the KHamoshi mein 'nadim'
ghir gae apni hi aawaz ki tughyani mein

Ghazal
Kuchh bhi kar pae na hum hijr ki hairani mein
Salahuddin Nadeem