kuchh bhi kar lijiye wo waza badalne ke nahin
yani hum karb-o-aziyyat se nikalne ke nahin
hum bhale kucha-e-viran mein akele bhaTken
is zamane ki rawish par kabhi chalne ke nahin
aaina hai hamein jab tak teri KHandan surat
hum kisi ranj ki taswir mein Dhalne ke nahin
han kabhi soz-e-darun un ko ghula de shayad
warna nalon se hamare wo pighalne ke nahin
ho chuke KHak jo jal kar wo patange ai shama
dusri bar tere shoale se jalne ke nahin
sehn-e-dil mein jo lagae the tamanna ke shajar
aisa lagta hai wo imsal bhi phalne ke nahin
jab talak manzil-e-ulfat pe nazar hai 'kashif'
panw apne kisi Tile se phisalne ke nahin
Ghazal
Kuchh bhi kar lijiye wo waza badalne ke nahin
Kashif Rafiq