kuchh bhi ho wo ab dil se juda ho nahin sakte
hum mujrim-e-tauhin-e-wafa ho nahin sakte
ai mauj-e-hawadis tujhe malum nahin kya
hum ahl-e-mohabbat hain fana ho nahin sakte
itna to bata jao KHafa hone se pahle
wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte
ek aap ka dar hai meri duniya-e-aqidat
ye sajde kahin aur ada ho nahin sakte
ahbab pe diwane 'asad' kaisa bharosa
ye zahr bhare ghunT rawa ho nahin sakte
Ghazal
Kuchh bhi ho wo ab dil se juda ho nahin sakte
Asad Bhopali