kuchh bhi ho taqdir ka likkha badal
chahiye tujh ko ki ab rasta badal
baad mein mujh ko dikhana aaina
pahle apna ja ke tu chehra badal
aagahi ka jis mein ek rauzan na ho
us makan-e-zat ka naqsha badal
meri wahshat hai siwa is se kahin
barha us se kaha sahra badal
neamaten duniya ki sab mil jati hain
man nahin milta magar tera badal
phir raha hai kyun tahi-kasa liye
bar jo shanon pe hai rakkha badal
TuTi-phuTi ban ka kya aasra
aasman sar par uTha khatiya badal
rasm-e-duniya yun badal sakti nahin
kab 'sahar' tujh se kaha tanha badal
Ghazal
Kuchh bhi ho taqdir ka likkha badal
Shaista Sahar