kuchh bhi ayan nihan na tha koi zaman makan na tha
der thi ek nigah ki phir ye jahan jahan na tha
saz wo qatre qatre mein soz wo zarre zarre mein
yaad teri kise na thi dard tera kahan na tha
ishq ki aazmaishen aur fazaon mein huin
panw tale zamin na thi sar pe ye aasman na tha
ishq harim-e-husn mein apne sahaare rah gaya
sabr ka bhi pata na tha hosh ka bhi nishan na tha
ek ko ek ki KHabar manzil-e-ishq mein na thi
koi bhi ahl-e-karwan shamil-e-karwan na tha
ishq ne apni jaan ko rog kai laga liye
hijr-o-visal umid-o-bim kaun bala-e-jaan na tha
KHalwatiyan-e-raaz se haal-e-visal-e-yar puchh
husn bhi be-naqab tha ishq bhi darmiyan na tha
daur-e-hayat mahz tha is ke harim-e-raaz mein
kaif-o-asar ka zikr kya zist ka bhi nishan na tha
shikwa-e-dar-guzar kyun hai ki husn ishq se
itna to bad-guman na tha itna to sar-garan na tha
Ghazal
Kuchh bhi ayan nihan na tha koi zaman makan na tha
Firaq Gorakhpuri

