اردو हिंदी
Kuchh be-nam talluq jinko nam achchha sa dene mein | Shaahi Shayari
kuchh be-nam talluq jinko nam achchha sa dene mein

Ghazal

Kuchh be-nam talluq jinko nam achchha sa dene mein

Saima Esma

;

kuchh be-nam talluq jin ko nam achchha sa dene mein
main to sari bikhar gai hun ghar ko ikaTTha rakhne mein

daera manafi musbat ka to apni jagah mukammal hai
koi barqi-rau dauDa de is be-jaan se nate mein

kaun ehsas ki lau baKHshega rukhe-phike manzar ko
kaun piroega jazbon ke moti harf ke dhage mein

aisa kya andher macha hai mere zaKHm nahin bharte
log to para para ho kar juD jate hain lamhe mein

ranj ki ek be-mausam Tahni dil se yun paiwasta hai
puri shaKH hari ho jae ek sira chhu lene mein

upar se KHamoshi oDh ke phirte hain jo log wahi
dhajji dhajji phirte hain andar ke pagal-KHane mein

sailabon ki ret se jis ko tu ne abas namnak kiya
dhire bahta ek dariya ban us sahra ke sine mein

barish ek paDe to bahar aape se ho jati hai
jis maKHluq ne aankhen kholin dharti ke tah-KHane mein