kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai
dil mera ek zamana hua ghar baiTha hai
ye zamana mujhe bachcha sa nazar aane laga
jis tarah aa ke mere zer-e-nazar baiTha hai
mujh se dekhi nahin jati koi jati hui chiz
tere uThte hi mere dil mein jo Dar baiTha hai
farq mushkil hai bahut dasht ke bashindon mein
aadmi baiTha hai aisa ki shajar baiTha hai
pul ki tamir ka saman nahin ishq ke pas
ruh baiThi hai udhar jism idhar baiTha hai
raat-bhar us ne hi kohram macha rakkha tha
kaisa masum sa ab dida-e-tar baiTha hai
sare ahbab taraqqi ki taraf jate hue
'farhat-ehsas' sar-e-rahguzar baiTha hai
Ghazal
Kuchh batata nahin kya saneha kar baiTha hai
Farhat Ehsas