اردو हिंदी
Kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete | Shaahi Shayari
kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

Ghazal

Kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

Fani Badayuni

;

kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete
hum tujh se chhupa kar bhi tera nam na lete

nazren na bachana thin nazar mujh se mila kar
paigham na dena tha to paigham na lete

kya umr mein ek aah bhi baKHshi nahin jati
ek sans bhi kya aap ke nakaam na lete

ab mai mein na wo kaif na ab jam mein wo baat
ai kash tere hath se hum jam na lete

qabu hi gham-e-ishq pe chalta nahin warna
ehsan-e-gham-e-gardish-e-ayyam na lete

hum hain wo bala dost ki gulshan ka to kya zikr
jannat bhi bajae qafas o dam na lete

KHamosh bhi rahte to shikayat hi Thaharti
dil de ke kahan tak koi ilzam na lete

allah re mere dil ki nazakat ka taqaza
tasir-e-mohabbat se bhi hum kaam na lete

teri hi raza aur thi warna tere bismil
talwar ke sae mein bhi aaram na lete

ek jabr hai ye zindagi ishq ki 'fani'
hum muft bhi ye aish-e-gham-anjam na lete