kuchh aur to nahin hamein is ka ojab hai ab
yani wo shoKH hum se KHafa be-sabab hai ab
aah-o-fughan-o-girya-o-andoh o dard o dagh
jo jins-e-ishq hai wo mere pas sab hai ab
dekhe se jis ke ghuncha-sifat gul ho rashk hai
aisa to is janam mein wahi ghuncha-lab hai ab
subh-e-falak bhi jis ki tajalli se ho KHajil
us rashk-e-mahtab se apni wo shab hai ab
aaina ek dam nahin rakhta hai hath se
aisa wo apne ruKH ka tamasha-talab hai ab
us gul-badan ke wasl se har dam 'nazir' ko
sab se ziyaada KHalq mein aish-o-tarab hai ab
Ghazal
Kuchh aur to nahin hamein is ka ojab hai ab
Nazeer Akbarabadi