اردو हिंदी
Kuchh aur gumrahi-e-dil ka raaz kya hoga | Shaahi Shayari
kuchh aur gumrahi-e-dil ka raaz kya hoga

Ghazal

Kuchh aur gumrahi-e-dil ka raaz kya hoga

Sufi Tabassum

;

kuchh aur gumrahi-e-dil ka raaz kya hoga
ek ajnabi tha kahin rah mein kho gaya hoga

wo jin ki raat tumhaare hi dam se raushan thi
jo tum wahan se gae hoge kya hua hoga

isi KHayal mein raaten ujaD gain apni
koi hamari bhi haalat ko dekhta hoga

tumhaare dil mein kahan meri yaad ka partaw
wo ek halka sa baadal tha chhaT gaya hoga

wafa na ki na sahi ye bhi yaad hai tujh ko
koi jafa ko bhi tere taras raha hoga

gham-e-judai mein aisi kahan thi lazzat-e-dard
unhen bhi mujh se bichhaDne ka dukh hua hoga