kuchh aur din abhi us ja qayam karna tha
yahan charagh wahan par sitara dharna tha
wo raat nind ki dahliz par tamam hui
abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha
mata-e-chashm-e-tamanna ye ashk aur ye KHak
rag-e-KHayal se is ko tulua karna tha
nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan
tamam hoti hui shab ke nam karna tha
gurez karti hui mauj aab-e-sar par thi
aur ek pal ke sire par mujhe Thaharna tha
Ghazal
Kuchh aur din abhi us ja qayam karna tha
Atiiqullah