kuchh aur bhi ziyaada sanwar ke dikhaunga
ai zindagi tere liye mar ke dikhaunga
tughyaniyan to raKHt-e-safar hain mere liye
sahil pe ek roz utar ke dikhaunga
kab tak sameT rakkhun sharar-e-junun ko main
jangal ki aag hun to bikhar ke dikhaunga
KHwahish se kab ye hath falak tak pahunchta hai
jo kah raha hun main use kar ke dikhaunga
sara safar faqat nahin sae ke waste
shaKH-o-gul-o-samar bhi shajar ke dikhaunga
Ghazal
Kuchh aur bhi ziyaada sanwar ke dikhaunga
Qasim Yaqub