kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH
tu bahs na mai-KHwaron se chal dur ho ai shaiKH
masjid mein zara waqt-e-sahar dekh to ja kar
shayad koi us chashm ka maKHmur ho ai shaiKH
sad dana-e-tasbih rakhe hath mein apne
chaunke to jo yak-dana-e-angur ho ai shaiKH
tu mujh ko kahe ek main sau tujh ko sunaun
ai kash ki itna mujhe maqdur ho ai shaiKH
aaya hai wo badmast liye hath mein shamshir
majlis se shitabi kahin kafur ho ai shaiKH
karta hai hamein mana tu paimana-kashi se
paimana teri umr ka mamur ho ai shaiKH
albatta kare mana hamein ishq-e-butan se
tujh sa jo koi aql se mazur ho ai shaiKH
phir dum hai wo shimla jo hua had se ziyaada
rakh shimla tu shimle ka jo dastur ho ai shaiKH
har harf mein saKHti hai tere sang-e-jafa se
Darta hun na phir shisha-e-dil chur ho ai shaiKH
kya hur ki baaton se lubhawe hai tu mujh ko
hasha ki mujhe aarzu-e-hur ho ai shaiKH
sheKHi mein to sunta hi nahin baat kisi ki
is daDhi par itna bhi na maghrur ho ai shaiKH
kyun 'mushafi' ko itni tu karta hai nasihat
sar chaDh na bahut us ke jo majbur ho ai shaiKH
Ghazal
Kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH
Mushafi Ghulam Hamdani