kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so
ye raat phir nahin aane ki dosto mat so
kise KHabar ki saba kya payam le aae
sada dilon ke dariche khule rakho mat so
bujhin jo shamen to raushan karo dilon ke charagh
na bujhne wale sitaron ka sath do mat so
jo sun sako to suno tishna-ruh ki fariyaad
misal-e-saghar mai-e-daur mein raho mat so
KHirad ka kahna hai so jao wo na aaega
pukar dil ki yunhi jagte raho mat so
na so saken jo hum aawargan-e-kucha-e-shauq
to tum bhi shahr ki shab-tab mah-washo mat so
ye jalti-bujhti si yaadon ki kahkashan 'ishqi'
bikhar na jae ghazal hi koi kaho mat so
Ghazal
Kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so
Shahid Ishqi