اردو हिंदी
Kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai | Shaahi Shayari
kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai

Ghazal

Kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai

Hasan Aabid

;

kuchh ajib aalam hai hosh hai na masti hai
ye tawil tanhai sanp ban ke Dasti hai

naghma-e-tabassum se lab hain ab bhi na-mahram
shaKH-e-arzu ab bhi phul ko tarasti hai

hum gharib kya jaanen mol zindagani ka
hum ko kya pata ye shai mahngi hai ki sasti hai

aao hum bhi dekhenge is dayar mein chal kar
kaise log rahte hain kis tarah ki basti hai

KHub-ru tamannaen KHush-libas ummiden
shahr-e-dil ki basti bhi kya hasin basti hai