kuchh aisi TuT ke shahr-e-junun ki yaad aai
duhai dene lagi aaj meri tanhai
gale mili hain kai aa ke dilruba yaaden
kahin ye ho na teri shakl-e-yaad-farmai
kuchh is qadar the saham-nak hadsat-e-hayat
ki tab-e-did na rakhti thi meri binai
siyah kiye hain waraq main ne is tawaqqoa par
kabhi to hogi mere dard ki pazirai
badan se rog ne kar li muwafiqat shayad
wahi hai zaKHm mera aur wahi hai gahrai
ilaj DhunDhta phirta hun dukh ke nagri mein
meri rasai se bahar hui masihai
us ek nazar ne mujhe Dher kar diya 'shahid'
kisi bhi kaam na aai meri tawanai
Ghazal
Kuchh aisi TuT ke shahr-e-junun ki yaad aai
Siddiq Shahid