kuchh aise zaKHm-e-zamana ka indimal kiya 
kabhi namaz paDhi aur kabhi dhamal kiya 
lagai zarb-e-shadid apne dil pe masti mein 
KHuda se TuTa hua rabta bahaal kiya 
usi ki baat likhi chahe kam likhi hum ne 
usi ka zikr kiya chahe KHal-KHal kiya 
lo hum ne Dhaal liya KHud ko us ke paikar mein 
lo hum ne hijr ke arse ko bhi visal kiya 
tumhaare hijr mein marna tha kaun sa mushkil 
tumhaare hijr mein zinda hain ye kamal kiya
        Ghazal
Kuchh aise zaKHm-e-zamana ka indimal kiya
Arif Imam

